Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Muneer Jafri's Photo'

Muneer Jafri

1992 | Sargodha, Pakistan

Muneer Jafri

Ghazal 28

Nazm 11

Sher-o-Shayari 15

Tiis uTThī thī kahīñ zer-e-zamīñ aur idhar

shahr shahr makānoñ se nikal aaya thā

Tis uTThi thi kahin zer-e-zamin aur idhar

shahr ka shahr makanon se nikal aaya tha

mahv-e-safar huuñ ḳhitta-e-duniyā ke us taraf

aur ḳhud ko hoshiyār nahīñ kar rahā huuñ maiñ

mahw-e-safar hun KHitta-e-duniya ke us taraf

aur KHud ko hoshiyar nahin kar raha hun main

  • Share this

dil par pahan liyā hai vo gajre ke jaisā shaḳhs

lekin gale haar nahīñ kar rahā huuñ maiñ

dil par pahan liya hai wo gajre ke jaisa shaKHs

lekin gale ka haar nahin kar raha hun main

  • Share this

āvāz ko ġhubār nahīñ kar rahā huuñ maiñ

māhaul dāġh-dār nahīñ kar rahā huuñ maiñ

aawaz ko ghubar nahin kar raha hun main

mahaul dagh-dar nahin kar raha hun main

  • Share this

dariyā se to muāhida tai gayā magar

kashtī e.atibār nahīñ kar rahā huuñ maiñ

dariya se to muahida tai pa gaya magar

kashti ka eatibar nahin kar raha hun main

  • Share this

More Poets From "Sargodha"

Recitation

Speak Now