Mushfiq Khwaja
Sher-o-Shayari 7
ye lamha lamha zinda rahne kī ḳhvāhish kā hāsil hai
ki lahza lahza apne aap hī meñ mar rahā huuñ maiñ
ye lamha lamha zinda rahne ki KHwahish ka hasil hai
ki lahza lahza apne aap hi mein mar raha hun main
- Add to favorites
-
Share this
dil ek aur hazār āzmā.isheñ ġham kī
diyā jalā to thā lekin havā kī zad par thā
dil ek aur hazar aazmaishen gham ki
diya jala to tha lekin hawa ki zad par tha
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
mirī nazar meñ ga.e mausamoñ ke rañg bhī haiñ
jo aane vaale haiñ un mausamoñ se Darnā kyā
meri nazar mein gae mausamon ke rang bhi hain
jo aane wale hain un mausamon se Darna kya
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
nazar churā ke vo guzrā qarīb se lekin
nazar bachā ke mujhe dekhtā bhī jaatā thā
nazar chura ke wo guzra qarib se lekin
nazar bacha ke mujhe dekhta bhi jata tha
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
ye haal hai mire dīvār-o-dar kī vahshat kā
ki mere hote hue bhī makān ḳhālī hai
ye haal hai mere diwar-o-dar ki wahshat ka
ki mere hote hue bhi makan KHali hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
Ghazal 23
Qisse 2
BOOKS 264
Videos 5
