Nadeem Gullani
Ghazal 8
Nazm 5
Sher-o-Shayari 7
umr bhar rahnā hai ta.abīr se gar duur tumheñ
phir mire ḳhvāb meñ aane kī zarūrat kyā hai
umr bhar rahna hai tabir se gar dur tumhein
phir mere KHwab mein aane ki zarurat kya hai
-
Share this
- See Ghazal
duniyā badal ga.ī thī koī ġham na thā mujhe
tum bhī badal ga.e the ye hairānī khā ga.ī
duniya badal gai thi koi gham na tha mujhe
tum bhi badal gae the ye hairani kha gai
-
Share this
- See Ghazal
tamām umr tire intizār meñ hamdam
ḳhizāñ-rasīda rahā huuñ bahār kar mujh ko
tamam umr tere intizar mein hamdam
KHizan-rasida raha hun bahaar kar mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
tū samajhtā hai gar fuzūl mujhe
kar ke himmat zarā sā bhuul mujhe
tu samajhta hai gar fuzul mujhe
kar ke himmat zara sa bhul mujhe
-
Share this
- See Ghazal
tujh se maiñ jañg kā elaan bhī kar hī dūñgā
mere dushman tū mire qad ke barābar to aa
tujh se main jang ka elan bhi kar hi dunga
mere dushman tu mere qad ke barabar to aa
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
vasl ne jab mirii taKHliiq ko zanjiir kyaa hijr kahne lagaa mai.n saath huu.n tuu likhtaa jaa tujh se mai.n ja.ng kaa elaan bhii kar hii duu.ngaa mere dushman tuu mire qad ke baraabar to aa mujh se naadaa.n kii kitaabe.n na samajh paa.e hai.n tuu samajhtaa hai ye samjhe.nge sahiife ai KHudaa Duub kar dard ke dariyaa me.n ai mere hamdam tujh ko kaise mai.n bataa.uu.n ki mai.n ne kyaa paayaa ashk baahar to ravaa.n aa.nkh se hotaa hai nadiim sochtaa huu.n ki ye andar mai.n kahaa.n se aayaa