aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Rahi Fidai's Photo'

Rahi Fidai

1949 | Bangalore, India

Rahi Fidai

Ghazal 12

Sher-o-Shayari 11

har ek shāḳh thī larzāñ fazā meñ chīḳh-o-pukār

havā ke haath meñ ik āb-dār ḳhanjar thā

har ek shaKH thi larzan faza mein chiKH-o-pukar

hawa ke hath mein ek aab-dar KHanjar tha

  • Share this

lazzat zahr vaqt-e-sahr chhoḌ kar koī

shab ke tamām rishte farāmosh kar gayā

lazzat ka zahr waqt-e-sahr chhoD kar koi

shab ke tamam rishte faramosh kar gaya

  • Share this

havas-girafta havāo nigāheñ nīchī rakho

shajar khaḌe haiñ saḌak ke qarīn be-parda

hawas-girafta hawao nigahen nichi rakho

shajar khaDe hain saDak ke qarin be-parda

  • Share this

hādsoñ ke ḳhauf se ehsās had meñ na thā

varna nafs-e-mutma.in saffāk hotā ġhāliban

hadson ke KHauf se ehsas ki had mein na tha

warna nafs-e-mutmain saffak hota ghaaliban

kisī ko saayā kisī ko gul-o-samar degā

harā-bharā hai daraḳht-e-rivāj rahne do

kisi ko saya kisi ko gul-o-samar dega

hara-bhara hai daraKHt-e-riwaj rahne do

  • Share this

BOOKS 33

More Poets From "Bangalore"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now