Renu Nayyar
Ghazal 9
Sher-o-Shayari 9
ab zabāñ tak aa ga.iiñ hai talḳhiyāñ
ab hameñ fauran nikalnā chāhiye
ab zaban tak aa gain hai talKHiyan
ab hamein fauran nikalna chahiye
-
Share this
- See Ghazal
abhī manzar badalte hī badal jā.eñge sab chehre
bichhaḌte vaqt kā ġham hai abhī tū nam na kar āñkheñ
abhi manzar badalte hi badal jaenge sab chehre
bichhaDte waqt ka gham hai abhi tu nam na kar aankhen
-
Share this
- See Ghazal
dil kī baazī aisī baazī hai jis meñ ham
hāreñ bhī to jiit manā.ī jā saktī hai
dil ki bazi aisi bazi hai jis mein hum
haaren bhi to jit manai ja sakti hai
-
Share this
- See Ghazal
ḳhudā se use maañg kar dekhte haiñ
phir apnī duā kā asar dekhte haiñ
KHuda se use mang kar dekhte hain
phir apni dua ka asar dekhte hain
-
Share this
- See Ghazal
tirī nazroñ se guzrī rahguzar bhī
hazāroñ manziloñ kā rāsta hai
teri nazron se guzri rahguzar bhi
hazaron manzilon ka rasta hai
-
Share this
- See Ghazal