shah-e-shahidan
ye kis ke naam ke charche haiñ ahl-e-dil kī mahfil meñ
ye kis kā zikr sun kar dard uThtā hai har ik dil meñ
ye kis kī yaad aate hī ravāñ hote haiñ ashk-e-ġham
ye kis ke haal par sadiyoñ se hai sarf-e-bukā 'ālam
jahāñ meñ iftiḳhār-e-nau’-e-insāñ kis ko kahte haiñ
musalmāñ faḳhr se shāh-e-shahīdāñ kis ko kahte haiñ
'alī-e-murtazā kā laa'l hai zahrā kā pyārā hai
mohammad kā navāsā charḳh-e-īmāñ kā sitāra hai
bachā.ī de ke jaañ insāniyat kī aabrū jis ne
zamāne meñ kiyā islāmiyat ko surḳh-rū jis ne
‘azīz-o-aqrabā ko nazr-e-īmāñ kar diyā jis ne
ḳhudā kī raah meñ ḳhush ho ke apnā sar diyā jis ne
sahī tishna-dahānī aur fāqoñ kī aziyyat bhī
uThā.ī aah jis mazlūm ne mayyat pe mayyat bhī
zahe sabr-o-tahammul āfrīñ us ‘azm-o-himmat par
adā shukr-e-ḳhudā karte the har taaza musībat par
tasavvur kī nigāheñ dekhtī haiñ dil laraztā hai
jabīñ sajde meñ hai har zaḳhm-e-tan se ḳhuuñ Tapaktā hai
gale par ḳhanjar-e-qātil laboñ par kuchh du'ā.eñ haiñ
najāt-e-ummat-e-āsī kī haq se iltijā.eñ haiñ
tire qurbān ai insāniyat ke mohsin-e-ā’zam
hayāt-e-tāza baḳhshe qaum ko ai kaash terā ġham
ḳhudā taufīq de naqsh-e-qadam par tere chalne kī
'atā himmat ho ahl-e-qaum ko gir kar sañbhalne kī
ye kis ke nam ke charche hain ahl-e-dil ki mahfil mein
ye kis ka zikr sun kar dard uThta hai har ek dil mein
ye kis ki yaad aate hi rawan hote hain ashk-e-gham
ye kis ke haal par sadiyon se hai sarf-e-buka 'alam
jahan mein iftiKHar-e-nau’-e-insan kis ko kahte hain
musalman faKHr se shah-e-shahidan kis ko kahte hain
'ali-e-murtaza ka la'l hai zahra ka pyara hai
mohammad ka nawasa charKH-e-iman ka sitara hai
bachai de ke jaan insaniyat ki aabru jis ne
zamane mein kiya islamiyat ko surKH-ru jis ne
‘aziz-o-aqraba ko nazr-e-iman kar diya jis ne
KHuda ki rah mein KHush ho ke apna sar diya jis ne
sahi tishna-dahani aur faqon ki aziyyat bhi
uThai aah jis mazlum ne mayyat pe mayyat bhi
zahe sabr-o-tahammul aafrin us ‘azm-o-himmat par
ada shukr-e-KHuda karte the har taza musibat par
tasawwur ki nigahen dekhti hain dil larazta hai
jabin sajde mein hai har zaKHm-e-tan se KHun Tapakta hai
gale par KHanjar-e-qatil labon par kuchh du'aen hain
najat-e-ummat-e-asi ki haq se iltijaen hain
tere qurban ai insaniyat ke mohsin-e-a’zam
hayat-e-taza baKHshe qaum ko ai kash tera gham
KHuda taufiq de naqsh-e-qadam par tere chalne ki
'ata himmat ho ahl-e-qaum ko gir kar sanbhalne ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.