Mera 'aqeeda hai ki jo qaum apne aap par jee khol kar hans sakti hai, woh kabhi ghulaam nahi ho sakti.

Mizaah likhna apne lahoo mein tap kar nikharne ka naam hai.

Mizaah, mazhab aur alcohol har cheez mein ba-aasaani mil jaate hain.

Achchhe tanz-nigaar, tane hue rasse par itra-itra kar kartab nahi dikhaate, balki ‘raqs ye log kiya karte hain talwaron par’.

Hiss-e-mizaah hi dar-asl insaan ki chhati hiss hai. Yeh ho to insaan har muqaam se ba-aasaani guzar jaata hai.

-
Tag : Sixth Sense
Mizaah-nigaar ke liye naseehat, fazeehat, aur fahmaaish haraam hain.

Mizaah ki meethi maar bhi shokh aankh, purkaar 'aurat aur diler ke waar ki tarah kabhi khaali nahi jaati.