Gam-aaluuda ruuho.n ko dhone kii KHaatir
piyaa-pe piye ham ne saaGar pe saaGar
'ajab thii shab-e-baada-noshii 'ajab thii
fazaa par hukuumat faqat chaa.nd kii thii
dil apnaa na chaahaa ki ham ghar ko lauTe.n
na ye aarzuu thii ki bistar me.n pahu.nche.n
magar aaKHir-e-kaar nashshe kaa Galba
ba.Dhaa is qadar hosh ham ko nahii.n thaa
vahii.n KHaak kaa ham ne bistar banaayaa
thaa sar par faqat aasmaano.n kaa saaya

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.