maut aur jiivan kaa jo 'aalam jaan.naa chaaho
maut aur jīvan kā jo 'ālam jānñā chāho
barf aur paanī kī ye kahānī kaafī hogī
paanī jam kar saḳht huā aur barf banā
barf ne paanī meñ phir badlā ruup apnā
jo shai martī hai phir paidā hotī hai
har jiitī shai maut kī god meñ sotī hai
barf aur paanī bāham kyā nuqsān kareñ
maut aur jīvan donoñ kā ham maan kareñ
maut aur jiwan ka jo 'alam jaanna chaho
barf aur pani ki ye kahani kafi hogi
pani jam kar saKHt hua aur barf bana
barf ne pani mein phir badla rup apna
jo shai marti hai phir paida hoti hai
har jiti shai maut ki god mein soti hai
barf aur pani baham kya nuqsan karen
maut aur jiwan donon ka hum man karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.