tanhaa.ii
aaj bahut añdherā hai; bārish se
pahāḌ nazar nahīñ aa rahā iklautī āvāz
bārish kī hai zindagī ko zer-e-zamīñ le jaatī huī
aur bārish ke saath sardī aatī hai
aaj koī chāñd nahīñ hogā na taare
havā raat ko chalī
puurī sub.h gandum ke saath ulajhtī rahī
dopahar ko ḳhatm ho ga.ī lekin tūfān jaarī rahā
khetoñ ko bhigotā aur phir sharābor kartā huā
dhartī ġhā.eb ho ga.ī hai
dekhne ko kuchh nahīñ hai sirf bārish
añdherī khiḌkiyoñ ke pīchhe chamaktī hai
ye vo ārām-gāh hai jahāñ koī hal-chal nahīñ hotī
ab ham apne asl vujūd kī or lauTte haiñ
añdhere meñ rah rahe jānvar
baġhair zabān yā bīnā.ī ke
kuchh sābit nahīñ kartā ki maiñ zinda huuñ
yahāñ sirf bārish hai bārish be-ant hai
aaj bahut andhera hai; barish se
pahaD nazar nahin aa raha iklauti aawaz
barish ki hai zindagi ko zer-e-zamin le jati hui
aur barish ke sath sardi aati hai
aaj koi chand nahin hoga na tare
hawa raat ko chali
puri subh gandum ke sath ulajhti rahi
dopahar ko KHatm ho gai lekin tufan jari raha
kheton ko bhigota aur phir sharabor karta hua
dharti ghaeb ho gai hai
dekhne ko kuchh nahin hai sirf barish
andheri khiDkiyon ke pichhe chamakti hai
ye wo aaram-gah hai jahan koi hal-chal nahin hoti
ab hum apne asl wujud ki or lauTte hain
andhere mein rah rahe jaanwar
baghair zaban ya binai ke
kuchh sabit nahin karta ki main zinda hun
yahan sirf barish hai barish be-ant hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.