faaKHta kii kahaanii
ek zamāne meñ ek fāḳhta mere shānoñ par girī
āsmān se shahr-e-firdaus ke sā.ebān se ho kar
mere shānoñ par girī
vo baḌī subuk sī thī
ham ek sā'at tak pur-sukūn rahe
hamāre biich āñdhī aa.ī tāham ham bāham rahe
tab maiñ us se kahnā chāhtā thā
merī mā'sūm fāḳhta merī pyārī fāḳhta
tū ne yahāñ jannat pā lī
ek zamāne meñ ek fāḳhta ne
mere shānoñ kā intiḳhāb kiyā ki un par utre
ek meherbān fāḳhta
ek safed fāḳhta
jaise hī maiñ ne us ko apne laboñ se shāna kiyā
jabhī us ke bāl-o-par surḳh ho ga.e
ek zamane mein ek faKHta mere shanon par giri
aasman se shahr-e-firdaus ke saeban se ho kar
mere shanon par giri
wo baDi subuk si thi
hum ek sa'at tak pur-sukun rahe
hamare bich aandhi aai taham hum baham rahe
tab main us se kahna chahta tha
meri ma'sum faKHta meri pyari faKHta
tu ne yahan jannat pa li
ek zamane mein ek faKHta ne
mere shanon ka intiKHab kiya ki un par utre
ek meherban faKHta
ek safed faKHta
jaise hi main ne us ko apne labon se shana kiya
jabhi us ke baal-o-par surKH ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.