aa.ii bahaar-e-gul hai.n magar gulsitaa.n se duur
aa.ii bahaar-e-gul hai.n magar gulsitaa.n se duur
Khwaja Hafiz Sheerazi
MORE BYKhwaja Hafiz Sheerazi
aa.ī bahār-e-gul haiñ magar gulsitāñ se duur
yā-rab na kar kisī ko bhī tū ham-rahāñ se duur
masrūf-e-nāla bulbul-e-shaidā hai sub.h-dam
fasl-e-ḳhizāñ meñ hai vo gul-o-gulsitāñ se duur
duniyā hai bāġh-e-kohna gul-e-nau hai aadmī
gul-chīn-e-'umr aa ke kare shāḳh-e-jāñ se duur
afsos is jahāñ meñ huī rā.egāñ hayāt
afsos ye bhī hai ki huā jism jaañ se duur
so.e hue haiñ ḳhaak meñ kitne hī sīm-tan
nausha-o-shāh kitne hue gul-ruḳhāñ se duur
ġhāfil tū un ke kāsa-e-sar par na paañv rakh
jo zer-e-ḳhāk sote haiñ ab ḳhānmāñ se duur
'hāfiz' tū dil se hirs-o-havas ko nikāl de
gar vasl chāhtā hai to ho īn-o-āñ se duur
aai bahaar-e-gul hain magar gulsitan se dur
ya-rab na kar kisi ko bhi tu ham-rahan se dur
masruf-e-nala bulbul-e-shaida hai subh-dam
fasl-e-KHizan mein hai wo gul-o-gulsitan se dur
duniya hai bagh-e-kohna gul-e-nau hai aadmi
gul-chin-e-'umr aa ke kare shaKH-e-jaan se dur
afsos is jahan mein hui raegan hayat
afsos ye bhi hai ki hua jism jaan se dur
soe hue hain KHak mein kitne hi sim-tan
nausha-o-shah kitne hue gul-ruKHan se dur
ghafil tu un ke kasa-e-sar par na panw rakh
jo zer-e-KHak sote hain ab KHanman se dur
'hafiz' tu dil se hirs-o-hawas ko nikal de
gar wasl chahta hai to ho in-o-an se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.