aa.nkhe.n tirii Gamze se hushiyaar nahii.n ho.ngii
āñkheñ tirī ġhamze se hushiyār nahīñ hoñgī
is dil kī ḳharāsheñ bhī be-ḳhār nahīñ hoñgī
ye tīr-sifat mizhgāñ ye teġh-sifat nazreñ
bīmār-e-mohabbat kī ġham-ḳhvār nahīñ hoñgī
haiñ terī adā.eñ jo qātil to zahe qismat
ḳhush huuñ ki adā.eñ ye bekār nahīñ hoñgī
uftād paḌe paiham aur ranj musalsal ho
mahtāb kī tanvīreñ afgār nahīñ hoñgī
'ḳhusrav' tire mastoñ kī sarshār jo āñkheñ haiñ
mastī meñ qayāmat tak hushiyār nahīñ hoñgī
aankhen teri ghamze se hushiyar nahin hongi
is dil ki KHarashen bhi be-KHar nahin hongi
ye tir-sifat mizhgan ye tegh-sifat nazren
bimar-e-mohabbat ki gham-KHwar nahin hongi
hain teri adaen jo qatil to zahe qismat
KHush hun ki adaen ye bekar nahin hongi
uftad paDe paiham aur ranj musalsal ho
mahtab ki tanwiren afgar nahin hongi
'KHusraw' tere maston ki sarshaar jo aankhen hain
masti mein qayamat tak hushiyar nahin hongi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.