agar yuu.n hijr me.n ba.Dhtaa gayaa din
agar yuuñ hijr meñ baḌhtā gayā din
phir apnī raat kaisī aur kyā din
ḳhabar mujh ko nahīñ kuchh roz-o-shab kī
siyah rātoñ meñ merī kho gayā din
tujhe rozī milegī aur mujhe roz
uTh ai murġh-e-sahar le vo chaḌhā din
na kah mujh se ki ik din ā.uñgā maiñ
nahīñ apnī shab-e-andoh kā din
ye kaisī zindagī 'ḳhusro' ki har shab
baḌī mushkil se aatā hai mirā din
agar yun hijr mein baDhta gaya din
phir apni raat kaisi aur kya din
KHabar mujh ko nahin kuchh roz-o-shab ki
siyah raaton mein meri kho gaya din
tujhe rozi milegi aur mujhe roz
uTh ai murgh-e-sahar le wo chaDha din
na kah mujh se ki ek din aaunga main
nahin apni shab-e-andoh ka din
ye kaisi zindagi 'KHusro' ki har shab
baDi mushkil se aata hai mera din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.