bahaar aa.ii hu.aa taaza phir jahaa.n meraa
bahār aa.ī huā taaza phir jahāñ merā
sabā ke dosh pe aayā vo jān-e-jāñ merā
maiñ sair-e-bāġh ko jā.ūñ magar mire hamdam
nazar to aa.e kahīñ mujh ko gulsitāñ merā
churā ke laao kahīñ se kisī kī tābish-e-husn
ki phir chamak uThe ye naqsh-e-be-nishāñ merā
ye mere kaan to sunte nahīñ mirī āvāz
sune vo kis tarah ye qissa-e-fuġhāñ merā
uḌā jo us kī taraf murġh-e-jāñ to mujh se kahā
ki maiñ chalā tū sañbhāl aa ke āshiyāñ merā
bahaar aai hua taza phir jahan mera
saba ke dosh pe aaya wo jaan-e-jaan mera
main sair-e-bagh ko jaun magar mere hamdam
nazar to aae kahin mujh ko gulsitan mera
chura ke lao kahin se kisi ki tabish-e-husn
ki phir chamak uThe ye naqsh-e-be-nishan mera
ye mere kan to sunte nahin meri aawaz
sune wo kis tarah ye qissa-e-fughan mera
uDa jo us ki taraf murgh-e-jaan to mujh se kaha
ki main chala tu sanbhaal aa ke aashiyan mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.