dard kaa kuchh hai na darmaa.n al-madad
dard kā kuchh hai na darmāñ al-madad
had se guzrā karb-e-hijrāñ al-madad
dīn-o-dil chhīnā thā ab hai qasd-e-jāñ
al-madad uf jaur-e-ḳhūbāñ al-madad
ek bose ke 'evaz māñge haiñ jaañ
kitne zālim haiñ hasīnāñ al-madad
pī liyā kāfir diloñ ne ḳhuuñ mirā
kuchh to darmāñ ahl-e-īmāñ al-madad
ho ke be-ḳhud misl-e-'hāfiz' roz-o-shab
maiñ bhī huuñ nālāñ-o-giryāñ al-madad
dard ka kuchh hai na darman al-madad
had se guzra karb-e-hijran al-madad
din-o-dil chhina tha ab hai qasd-e-jaan
al-madad uf jaur-e-KHuban al-madad
ek bose ke 'ewaz mange hain jaan
kitne zalim hain hasinan al-madad
pi liya kafir dilon ne KHun mera
kuchh to darman ahl-e-iman al-madad
ho ke be-KHud misl-e-'hafiz' roz-o-shab
main bhi hun nalan-o-giryan al-madad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.