dil-e-bad-baKHt kabhii shaad na thaa
dil-e-bad-baḳht kabhī shaad na thā
dard-o-ġham se kabhī āzād na thā
na milā 'umr-e-girāñ-māya meñ
ek lamha ki jo barbād na thā
aisā barbād huā ḳhāna-e-dil
jaise pahle kabhī ābād na thā
thā yahī yaad ki mehmān haiñ vo
raat kuchh is ke sivā yaad na thā
jo bhī chāhā kiyā chārāgar ne
koī bhī chāra-e-fariyād na thā
dil-e-bad-baKHt kabhi shad na tha
dard-o-gham se kabhi aazad na tha
na mila 'umr-e-giran-maya mein
ek lamha ki jo barbaad na tha
aisa barbaad hua KHana-e-dil
jaise pahle kabhi aabaad na tha
tha yahi yaad ki mehman hain wo
raat kuchh is ke siwa yaad na tha
jo bhi chaha kiya chaaragar ne
koi bhi chaara-e-fariyaad na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.