go tirii KHuu-e-naaz ne kar diyaa niim-jaa.n mujhe
go tirī ḳhū-e-nāz ne kar diyā nīm-jāñ mujhe
phir bhī udhar hī le chalā ye dil-e-nā-tavāñ mujhe
tū hai vo shoḳh dilrubā dil jo kisī kā kho gayā
garche thā kaam aur kā tujh pe huā gumāñ mujhe
shor se saare shahr meñ ḳhalq-e-ḳhudā na so sakī
le ga.ī duur duur tak raat mirī fuġhāñ mujhe
maiñ to usī kī chaah meñ ho gayā ḳhaak raah meñ
dekh sabā uḌā na de jaan ke rā.egāñ mujhe
go teri KHu-e-naz ne kar diya nim-jaan mujhe
phir bhi udhar hi le chala ye dil-e-na-tawan mujhe
tu hai wo shoKH dilruba dil jo kisi ka kho gaya
garche tha kaam aur ka tujh pe hua guman mujhe
shor se sare shahr mein KHalq-e-KHuda na so saki
le gai dur dur tak raat meri fughan mujhe
main to usi ki chah mein ho gaya KHak rah mein
dekh saba uDa na de jaan ke raegan mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.