kinaara nahii.n is bayaabaan me.n
kināra nahīñ is bayābān meñ
nahīñ hai qarār is dil-o-jān meñ
jahāñ dar jahāñ naqsh tajsīm haiñ
hamāre vujūd in meñ haiñ kaun se
burīda jo sar aa.e rah meñ nazar
luḌhaktā ravāñ ho jo maidān meñ
tū asrār-e-dil us se pūchh us se pūchh
sunā degā sirr-e-nihāñ aan meñ
kahūñ kyā karūñ kyā ki ye dāstāñ
nahīñ hai mire hadd-o-imkān meñ
baham uḌ rahe haiñ kabak aur baaz
hamāre anokhe kuhistān meñ
pare saat aflāk se hai jo 'arsh
ham us samt uḌte haiñ jaulān meñ
salāh-e-haq-o-dīñ dikhā de tujhe
ki kyā husn thā mere sultān meñ
kinara nahin is bayaban mein
nahin hai qarar is dil-o-jaan mein
jahan dar jahan naqsh tajsim hain
hamare wujud in mein hain kaun se
burida jo sar aae rah mein nazar
luDhakta rawan ho jo maidan mein
tu asrar-e-dil us se puchh us se puchh
suna dega sirr-e-nihan aan mein
kahun kya karun kya ki ye dastan
nahin hai mere hadd-o-imkan mein
baham uD rahe hain kabak aur baz
hamare anokhe kuhistan mein
pare sat aflak se hai jo 'arsh
hum us samt uDte hain jaulan mein
salah-e-haq-o-din dikha de tujhe
ki kya husn tha mere sultan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.