tumhaarii aa.nkhe.n hai.n tiir-afgan nazar ke hai.n tiir kis balaa ke

tumhaarii aa.nkhe.n hai.n tiir-afgan nazar ke hai.n tiir kis balaa ke
Ameer Khusrau
MORE BYAmeer Khusrau
tumhārī āñkheñ haiñ tīr-afgan nazar ke haiñ tiir kis balā ke
ye tiir kyoñ dil pe mārte ho nazar se merī nazar milā ke
kamān-e-ābrū khīñchī thī sū-e-raqīb lekin fareb thā ye
tumhārā tīr-e-nazar lagā hai hamārī jān-e-hazīñ pe aa ke
ḳhushā ye barq-e-nigāh kāfir kahīñ to chamke gire kahīñ par
zahe ye andāz-e-chashm-e-qātil kisī ko maare kisī ko taake
na hogā 'ḳhusrav' ye dard-e-dil kam bahāna āñkhoñ se ashk paiham
ki ḳhirman-e-jāñ ko phūñk degī ye ātish-e-ġham jalā jalā ke
tumhaari aankhen hain tir-afgan nazar ke hain tir kis bala ke
ye tir kyon dil pe marte ho nazar se meri nazar mila ke
kaman-e-abru khinchi thi su-e-raqib lekin fareb tha ye
tumhaara tir-e-nazar laga hai hamari jaan-e-hazin pe aa ke
KHusha ye barq-e-nigah kafir kahin to chamke gire kahin par
zahe ye andaz-e-chashm-e-qatil kisi ko mare kisi ko take
na hoga 'KHusraw' ye dard-e-dil kam bahana aankhon se ashk paiham
ki KHirman-e-jaan ko phunk degi ye aatish-e-gham jala jala ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.