tuu yaar hai dil-daar hai ik ‘aalam-e-asraar hai

tuu yaar hai dil-daar hai ik ‘aalam-e-asraar hai
Maulana Jalaluddin Rumi
MORE BYMaulana Jalaluddin Rumi
tū yaar hai dil-dār hai ik ‘ālam-e-asrār hai
tū yūsuf-e-dīdār hai aur raunaq-e-bāzār hai
imsāl baazī laḌ ga.ī ham ko milā tujh se sanam
muflis haiñ ham tū hī hamārā ganj-o-sau-dīnār hai
ham thak chuke haiñ tū hamārā marham-e-bīmār hai
ham TūTe-phūTe tū hamārā mehrbāñ me'mār hai
maiñ ne kahā kal 'ishq se ai ḳhusrav-e-'ayyār sun
muñh mat chhupā tū ne hī chorī kī mirī dastār hai
us ne kahā achchhā to ye terā hī ulTā kaar hai
tū jo kahe bas vo hī dohrātā mirā kohsār hai
tu yar hai dil-dar hai ek ‘alam-e-asrar hai
tu yusuf-e-didar hai aur raunaq-e-bazar hai
imsal bazi laD gai hum ko mila tujh se sanam
muflis hain hum tu hi hamara ganj-o-sau-dinar hai
hum thak chuke hain tu hamara marham-e-bimar hai
hum TuTe-phuTe tu hamara mehrban me'mar hai
main ne kaha kal 'ishq se ai KHusraw-e-'ayyar sun
munh mat chhupa tu ne hi chori ki meri dastar hai
us ne kaha achchha to ye tera hi ulTa kar hai
tu jo kahe bas wo hi dohraata mera kohsar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.