vo KHaak karegaa 'ishq-baazii
vo ḳhaak karegā 'ishq-bāzī
jis meñ nahīñ zauq-e-jāñ-gudāzī
jis 'ishq meñ jaan par na kheleñ
baazī hai nahīñ vo 'ishq-bāzī
har jalve meñ hai tarāvish-e-nāz
har ġhamza hai ārzū-navāzī
maiñ ġharqa-e-ḳhūñ huuñ sajda kar luuñ
go jaama nahīñ mirā namāzī
mahmūd-vashoñ ko maar Daalā
allāh re sheva-e-ayāzī
ye zulf-e-darāz allah allāh
ubhrī mirī raat kī darāzī
wo KHak karega 'ishq-bazi
jis mein nahin zauq-e-jaan-gudazi
jis 'ishq mein jaan par na khelen
bazi hai nahin wo 'ishq-bazi
har jalwe mein hai tarawish-e-naz
har ghamza hai aarzu-nawazi
main gharqa-e-KHun hun sajda kar lun
go jama nahin mera namazi
mahmud-washon ko mar Dala
allah re shewa-e-ayazi
ye zulf-e-daraaz allah allah
ubhri meri raat ki daraazi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.