Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

vo kyaa manzil thii husn-o-'ishq kii kal shab jahaa.n mai.n thaa

Translation Available By: Aziz Warsi

Ameer Khusrau

Ameer Khusrau

vo kyaa manzil thii husn-o-'ishq kii kal shab jahaa.n mai.n thaa

Ameer Khusrau

MORE BYAmeer Khusrau

    vo kyā manzil thī husn-o-'ishq kal shab jahāñ maiñ thā

    musalsal raqs meñ thī zindagī kal shab jahāñ maiñ thā

    sarāpā husn vo nūr-e-mujassam vo qad-o-qāmat

    har ik jalve meñ thī raḳhshandagī kal shab jahāñ maiñ thā

    raqīb us ke qarīñ aur imtihāñ merī vafāoñ

    qayāmat se na kam thī vo ghaḌī kal shab jahāñ maiñ thā

    ḳhudā-e-pāk jis mahfil meñ 'ḳhusrav' jalva-farmā the

    nabī zaat sham'-e-bazm thī kal shab jahāñ maiñ thā

    wo kya manzil thi husn-o-'ishq ki kal shab jahan main tha

    musalsal raqs mein thi zindagi kal shab jahan main tha

    sarapa husn wo nur-e-mujassam wo qad-o-qamat

    har ek jalwe mein thi raKHshandagi kal shab jahan main tha

    raqib us ke qarin aur imtihan meri wafaon ka

    qayamat se na kam thi wo ghaDi kal shab jahan main tha

    KHuda-e-pak jis mahfil mein 'KHusraw' jalwa-farma the

    nabi ki zat sham'-e-bazm thi kal shab jahan main tha

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now