ye badan zer-e-pairahan kyaa hai
ye badan zer-e-pairahan kyā hai
allāh allāh ye badan kyā hai
hai tire pairahan kā ik partav
varna husn-e-gul-o-saman kyā hai
mujh ko bhī apne pairahan meñ samo
chāra ab aur jān-e-man kyā hai
'umr bhar maiñ ne kī hai jāma-darī
baa'd marne ke ye kafan kyā hai
ye badan zer-e-pairahan kya hai
allah allah ye badan kya hai
hai tere pairahan ka ek partaw
warna husn-e-gul-o-saman kya hai
mujh ko bhi apne pairahan mein samo
chaara ab aur jaan-e-man kya hai
'umr bhar main ne ki hai jama-dari
ba'd marne ke ye kafan kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.