Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

budhdh purnimaa alvidaa'ii kahaanii

Translation Available By: Balraj Komal

Surjit Patar

Surjit Patar

budhdh purnimaa alvidaa'ii kahaanii

Surjit Patar

MORE BYSurjit Patar

    gautam ke paañv meñ zanjīr to nahīñ Daalī ga.ī

    sirf nāzuk bel us gardan ke gird laTkā.ī ga.ī

    phūloñ ko dekh kar jo udaas ho jaatā thā

    us beTe ke liye

    pesh na chalī shudodhan nahīñ to

    rok detā vo sūraj ko Dūbne se

    mausamoñ ko badalne se

    apnī azānoñ ke dar par

    hukm likh kar Taañg detā

    pat-jhaḌ yahāñ aanā man' hai

    zahr hotā saañp to chuus letā

    apne beTe ke siine se udāsī

    phuul jaise laal mere

    jang ke sho'loñ meñ

    phuul bun kar jiinā mumkin nahīñ hai

    jab nāzuk bel par ek phuul khil uThā

    shudodhan ne kahā

    ab koī ḳhatra nahīñ

    añtaḌiyoñ ke phuul ko chhoḌ kar ye ab nahīñ jā.egā lekin

    vo jo murjhāte phūloñ ko dekh kar udaas ho jaatā thā

    chalā gayā vo

    sote āñsuoñ zanjīr toḌ kar

    jab saverā hogā

    yashodhrā ke nain bujh se jā.eñge

    lekin kyā kaheñge

    un kahnā bhī ek updesh hai

    jo kisī patthar par kanda hue baġhair jāvedāñ hai

    lekin nahīñ abhī nahīñ

    abhī mere siine meñ maut ghoñsla hai

    abhī merī āñkhoñ meñ jahannam ke alaav jal rahe haiñ

    maiñ jo bhī dekhtā huuñ

    dekhte raakh ho jaatā hai

    maiñ jo bhī chhū letā huuñ

    vo chhūte ho jaatā hai pinjar

    mire hāthoñ par rakhe

    chāñd sūraj chitāoñ tarah jal rahe haiñ

    āñsuoñ bahtī rau

    kis tarah bujhā saktī hai itnī saarī aag

    gautam ke panw mein zanjir to nahin Dali gai

    sirf nazuk bel us ki gardan ke gird laTkai gai

    phulon ko dekh kar jo udas ho jata tha

    us beTe ke liye

    pesh na chali shudodhan ki nahin to

    rok deta wo suraj ko Dubne se

    mausamon ko badalne se

    apni azanon ke dar par

    hukm likh kar Tang deta

    pat-jhaD ka yahan aana man' hai

    zahr hota sanp ka to chus leta

    apne beTe ke sine se udasi

    phul jaise lal mere

    jang ke sho'lon mein

    phul bun kar jina mumkin nahin hai

    jab nazuk bel par ek phul khil uTha

    shudodhan ne kaha

    ab koi KHatra nahin

    antaDiyon ke phul ko chhoD kar ye ab nahin jaega lekin

    wo jo murjhate phulon ko dekh kar udas ho jata tha

    chala gaya wo

    sote aansuon ki zanjir toD kar

    jab sawera hoga

    yashodhra ke nain bujh se jaenge

    lekin kya kahenge

    un ka kahna bhi ek updesh hai

    jo kisi patthar par kanda hue baghair hi jawedan hai

    lekin nahin abhi nahin

    abhi mere sine mein maut ka ghonsla hai

    abhi meri aankhon mein jahannam ke alaw jal rahe hain

    main jo bhi dekhta hun

    dekhte hi rakh ho jata hai

    main jo bhi chhu leta hun

    wo chhute hi ho jata hai pinjar

    mere hathon par rakhe

    chand suraj chitaon ki tarah jal rahe hain

    aansuon ki bahti rau

    kis tarah bujha sakti hai itni sari aag

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now