hazaaro.n parinde
hazāroñ parinde
mere zehn ke qaidī
suntā huuñ din raat meñ
dete haiñ duhā.ī
rihā.ī
rihā.ī
ham chāhe jā kar
kahīñ chhalnī ho jaa.eñ
hamārī kaayā se bahne lageñge
ḳhuun ke favāre
ham chāhe jā kar
kahīñ jhulas jaa.eñ
jal uTheñge hamāre paroñ ke
reshmī kināre
to bas jaane de ab
kahīñ bhī hameñ
terī qaid se to
behtar haiñ hamāre liye
shikārī aur gosht-ḳhor qasā.ī
jab peḌ thā to
jab utre the ham
terī shāḳhoñ par
tab tū ne kahā thā
uḌo ākāsh meñ
jab thak jaao
mere paas aao
to phir tolo
aur havāoñ ke naam ḳhat likhte jaao
tū hamāre hamesha ke liye
parvāz karne se
pattoñ ke sūkhne
jhaḌne se Dartā thā
tū ab peḌ se
piñjrā ban gayā hai
hazaron parinde
mere zehn ke qaidi
sunta hun din raat mein
dete hain duhai
rihai
rihai
hum chahe ja kar
kahin chhalni ho jaen
hamari kaya se bahne lagenge
KHun ke faware
hum chahe ja kar
kahin jhulas jaen
jal uThenge hamare paron ke
reshmi kinare
to bas jaane de ab
kahin bhi hamein
teri qaid se to
behtar hain hamare liye
shikari aur gosht-KHor qasai
jab peD tha to
jab utre the hum
teri shaKHon par
tab tu ne kaha tha
uDo aakash mein
jab thak jao
mere pas aao
to phir tolo
aur hawaon ke nam KHat likhte jao
tu hamare hamesha ke liye
parwaz karne se
patton ke sukhne
jhaDne se Darta tha
tu ab peD se
pinjra ban gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.