merii dhuup
merī dhuup bīmār paḌī hai
mere sūraj ko ghaḌiyoñ ne kaaT kar rakh diyā hai
daftar ke darvāzoñ se bāhar
merī nazm merā intizār kartī būḌhī ho ga.ī
us bechārī ke lambe ḳhūb-sūrat baal
kisī ke sahlā.e baġhair hī safed ho ga.e
maiñ kursī meñ nasb ho gayā huuñ
kursī meñ nasb beToñ ko ab sāhab-zāde kaun kahegā
circus kā būḌhā sher abhī aa.egā
mez par bikhre ḳhvāb ko dekh kar
sūrajoñ peḌoñ nadiyoñ ke saa.e dekh kar
mez par bichhī lambī saḌkeñ dekh kar barham ho jā.egā
apnī qahr ālūda nazroñ se
mere ḳhvāb bhasam kar degā
maiñ ākāsh rāh-guzār maiñ jangal
simaT kar ek darāz meñ baiTh jā.ūñgā
zahr gholūñgā saañp ban jā.ūñgā
ab to mujhe morniyoñ se Dar lagtā hai
rang birange noToñ kī titliyāñ pakaḌne
lakḌī lohe aur añdhere ke jangal meñ
saare dost kam ho ga.e haiñ
dekhte dekhte apnā shahr parāyā ho gayā hai
kavītā bāhar bīmār paḌī hai
maiñ huuñ aur ek korā shīsha hai
jo merī tārīḳh se vāqif nahīñ hai
maiñ jis reg-zār se
dostoñ qāfiloñ aur ḳhvāboñ ke saath guzrā thā
us ko kuchh bhī yaad nahīñ
jis ret par mere qadmoñ ke nishān the
vo ret ab saroñ par chhā ga.ī hai
reza reza vo mire nuqūsh par gir rahī hai
maiñ ret meñ rafta rafta kam ho rahā huuñ
āḳhir ek roz ret meñ dafn ho jā.ūñgā
reg-zār meñ dafn beToñ ko
sāhabzāde kaun kahegā
meri dhup bimar paDi hai
mere suraj ko ghaDiyon ne kaT kar rakh diya hai
daftar ke darwazon se bahar
meri nazm mera intizar karti buDhi ho gai
us bechaari ke lambe KHub-surat baal
kisi ke sahlae baghair hi safed ho gae
main kursi mein nasb ho gaya hun
kursi mein nasb beTon ko ab sahab-zade kaun kahega
circus ka buDha sher abhi aaega
mez par bikhre KHwab ko dekh kar
surajon peDon nadiyon ke sae dekh kar
mez par bichhi lambi saDken dekh kar barham ho jaega
apni qahr aaluda nazron se
mere KHwab bhasam kar dega
main aakash rah-guzar main jangal
simaT kar ek daraaz mein baiTh jaunga
zahr gholunga sanp ban jaunga
ab to mujhe morniyon se Dar lagta hai
rang birange noTon ki titliyan pakaDne
lakDi lohe aur andhere ke jangal mein
sare dost kam ho gae hain
dekhte dekhte apna shahr paraya ho gaya hai
kawita bahar bimar paDi hai
main hun aur ek kora shisha hai
jo meri tariKH se waqif nahin hai
main jis reg-zar se
doston qafilon aur KHwabon ke sath guzra tha
us ko kuchh bhi yaad nahin
jis ret par mere qadmon ke nishan the
wo ret ab saron par chha gai hai
reza reza wo mere nuqush par gir rahi hai
main ret mein rafta rafta kam ho raha hun
aaKHir ek roz ret mein dafn ho jaunga
reg-zar mein dafn beTon ko
sahabzade kaun kahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.