ka.ī baras baad achānak ek mulāqāt
aur donoñ kī hastī ik nazm kī tarah kāñpī
sāmne puurī raat thī
magar aadhī nazm ek goshe meñ āvezāñ rahī
sub.h huī to ham phaTe hue kāġhaz ke TukḌoñ kī tarah mile
maiñ ne apne haath meñ us kā haath thāmā
us ne apnī baañh meñ merī baañh Daalī
phir ham donoñ censor kī tarah hañse
aur kāġhaz ko ThanDī mez par rakh kar
saarī nazm par ek lakīr pher dī
kai baras baad achanak ek mulaqat
aur donon ki hasti ek nazm ki tarah kanpi
samne puri raat thi
magar aadhi nazm ek goshe mein aawezan rahi
subh hui to hum phaTe hue kaghaz ke TukDon ki tarah mile
main ne apne hath mein us ka hath thama
us ne apni banh mein meri banh Dali
phir hum donon censor ki tarah hanse
aur kaghaz ko ThanDi mez par rakh kar
sari nazm par ek lakir pher di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.