taariiKH
tārīḳh to har nasl likhegī
baar baar pesh hoñge
mare hue log
zinda logoñ kī 'adālat meñ
baar baar qabroñ se uThā.e jā.eñge pinjar
haar pahanñe ke liye
kabhī phūloñ ke
kabhī kāñToñ ke
vaqt kī koī āḳhirī 'adālat nahīñ
aur tārīḳh kabhī āḳhrī baar nahīñ likhī jaatī
tariKH to har nasl likhegi
bar bar pesh honge
mare hue log
zinda logon ki 'adalat mein
bar bar qabron se uThae jaenge pinjar
haar pahanne ke liye
kabhi phulon ke
kabhi kanTon ke
waqt ki koi aaKHiri 'adalat nahin
aur tariKH kabhi aaKHri bar nahin likhi jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.