aur jaisaa ki aksar hotaa hai
aur jaisā ki mohabbat ke iḳhtitām par aksar hotā hai
avvalīn dinoñ kā aaseb hamāre paas lauT aayā
khiḌkī se rupahlā bed-e-majnūñ andar phail gayā
apnī mulā.im shāḳhoñ kī māh-numā ḳhūb-sūratī ke saath
parinde ne raushnī aur imbisāt kā giit gaanā shurū' kar diyā
hamāre liye jo zamīn se nazar uThāte hue Darte haiñ
jo behad maġhrūr talḳh aur hassās haiñ
un dinoñ ke baare meñ jab ham bāham bachā liye ga.e the
aur jaisa ki mohabbat ke iKHtitam par aksar hota hai
awwalin dinon ka aaseb hamare pas lauT aaya
khiDki se rupahla bed-e-majnun andar phail gaya
apni mulaim shaKHon ki mah-numa KHub-surati ke sath
parinde ne raushni aur imbisat ka git gana shuru' kar diya
hamare liye jo zamin se nazar uThate hue Darte hain
jo behad maghrur talKH aur hassas hain
un dinon ke bare mein jab hum baham bacha liye gae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.