tum mujhe pahan lo
tum mujhe pahan lo
nāchte hue merā jī chāhtā hai
tumhāre ang ang se mas hone ko
tum mujhe tā'vīz banā kar gale meñ Daal lo
maiñ tumhārī rag-rag ke paas rahnā chāhtā huuñ
tum mujhe yuuñ pahan lo
jaise ruuh jism pahantī hai
jaise āvāzoñ ne lafz pahne hue haiñ
jaise biij chhilke ko pahan letā hai
jaise kitāb hāthoñ kā lams pahantī hai
jaise samundar ne āsmān pahnā huā hai
jaise kā.enāt ḳhudā kā libās hai
tum mujhe yuuñ pahan lo
tum mujhe pahan lo
nachte hue mera ji chahta hai
tumhaare ang ang se mas hone ko
tum mujhe ta'wiz bana kar gale mein Dal lo
main tumhaari rag-rag ke pas rahna chahta hun
tum mujhe yun pahan lo
jaise ruh jism pahanti hai
jaise aawazon ne lafz pahne hue hain
jaise bij chhilke ko pahan leta hai
jaise kitab hathon ka lams pahanti hai
jaise samundar ne aasman pahna hua hai
jaise kaenat KHuda ka libas hai
tum mujhe yun pahan lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.