Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Shaghil Usmani

Shaghil Usmani

Sher-o-Shayari 5

hone ko sahar aa.ī hai ḳhāmosh ho ai sham.a

sozish-e-parvāna pe ro.egī kahāñ tak

hone ko sahar aai hai KHamosh ho ai shama

tu sozish-e-parwana pe roegi kahan tak

ka.aba meñ kalīsā meñ use DhūñD ke āḳhir

had ye hai ki aa pahuñche haiñ ab kū-e-butāñ tak

kaba mein kalisa mein use DhunD ke aaKHir

had ye hai ki aa pahunche hain ab ku-e-butan tak

nūr-e-sahar-o-rang-e-sahar par nahīñ mauqūf

dushman hai shab-e-vasl meñ āvāz-e-azāñ tak

nur-e-sahar-o-rang-e-sahar par nahin mauquf

dushman hai shab-e-wasl mein aawaz-e-azan tak

va.ada to vafā ho ki na ho ye hai shikāyat

lab se kabhī niklī nahīñ taskīn ko haañ tak

wada to wafa ho ki na ho ye hai shikayat

lab se kabhi nikli nahin taskin ko han tak

saaqī karam dekh ki ik aan meñ 'shāġhil'

pahuñchā diyā bārgah-e-pīr-e-muġhāñ tak

saqi ka karam dekh ki ek aan mein 'shaghil'

pahuncha hi diya bargah-e-pir-e-mughan tak

Ghazal 10

BOOKS 2

 

Recitation

Speak Now