aasan raston mein aise bhi jaan ke lale paD jate hain
āsāñ rastoñ meñ aise bhī jaan ke laale paḌ jaate haiñ
chalte chalte apne jūtoñ se bhī chhāle paḌ jaate haiñ
us kī aas meñ jagtī āñkheñ āḳhir kaalī kyoñ na paḌeñgī
jalte jalte raat kī raat charāġh bhī kaale paḌ jaate haiñ
ġham kī dahshat-gardī meñ bhī dil ko khole rakkhā ham ne
varna is māhaul meñ shahroñ shahroñ taale paḌ jaate haiñ
shab ke kaale dāman meñ jyuuñ chāñd sitāre aan paḌe haiñ
man kī mailī jholī meñ bhī aise ujāle paḌ jaate haiñ
kitnī bhī pyārī ho har ik shai se jī uktā jaatā hai
vaqt ke saath to chamkīle zevar bhī kaale paḌ jaate haiñ
dil miTTī kā ghar hī sahī par roz safā.ī karnā 'ālam'
saaf na hoñ to kāñch ke mahloñ meñ bhī jaale paḌ jaate haiñ
aasan raston mein aise bhi jaan ke lale paD jate hain
chalte chalte apne juton se bhi chhaale paD jate hain
us ki aas mein jagti aankhen aaKHir kali kyon na paDengi
jalte jalte raat ki raat charagh bhi kale paD jate hain
gham ki dahshat-gardi mein bhi dil ko khole rakkha hum ne
warna is mahaul mein shahron shahron tale paD jate hain
shab ke kale daman mein jyun chand sitare aan paDe hain
man ki maili jholi mein bhi aise ujale paD jate hain
kitni bhi pyari ho har ek shai se ji ukta jata hai
waqt ke sath to chamkile zewar bhi kale paD jate hain
dil miTTi ka ghar hi sahi par roz safai karna 'alam'
saf na hon to kanch ke mahlon mein bhi jale paD jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.