dil hai ya mele mein khoya hua bachcha koi
dil hai yā mele meñ khoyā huā bachcha koī
jis ko bahlā nahīñ saktā hai khilaunā koī
maiñ to jalte hue zaḳhmoñ ke tale rahtī huuñ
tū ne dekhā hai kabhī dhuup kā sahrā koī
maiñ lahū huuñ to koī aur bhī zaḳhmī hogā
apnī dahlīz pe pheñko to na shīsha koī
ḳhvāhisheñ dil meñ machal kar yūñhī so jaatī haiñ
jaise añgnā.ī meñ rotā huā bachcha koī
zā.iche tū ne umīdoñ ke banā.e the magar
miT ga.e harf girā āñkhoñ se qatra koī
chāñdnī jab bhī utartī hai mire āñgan meñ
kholtā hai tirī yādoñ kā darīcha koī
merā ghar jis ke dar-o-bām bhī mehmān se the
kaash is ujḌe hue ghar meñ na aatā koī
dil koī phuul nahīñ hai ki agar toḌ diyā
shāḳh par is se bhī khil jā.egā achchhā koī
tum bhare shahr meñ afkār liye phirte ho
sab to muflis haiñ ḳharīdegā yahāñ kyā koī
raat tanhā.ī ke mele meñ mire saath thā vo
varna yuuñ ghar se nikaltā hai akelā koī
'āfrīñ' dard kā ehsās miTā hai aise
jaise bachpan meñ banāyā thā gharauñdā koī
dil hai ya mele mein khoya hua bachcha koi
jis ko bahla nahin sakta hai khilauna koi
main to jalte hue zaKHmon ke tale rahti hun
tu ne dekha hai kabhi dhup ka sahra koi
main lahu hun to koi aur bhi zaKHmi hoga
apni dahliz pe phenko to na shisha koi
KHwahishen dil mein machal kar yunhi so jati hain
jaise angnai mein rota hua bachcha koi
zaiche tu ne umidon ke banae the magar
miT gae harf gira aankhon se qatra koi
chandni jab bhi utarti hai mere aangan mein
kholta hai teri yaadon ka daricha koi
mera ghar jis ke dar-o-baam bhi mehman se the
kash is ujDe hue ghar mein na aata koi
dil koi phul nahin hai ki agar toD diya
shaKH par is se bhi khil jaega achchha koi
tum bhare shahr mein afkar liye phirte ho
sab to muflis hain KHaridega yahan kya koi
raat tanhai ke mele mein mere sath tha wo
warna yun ghar se nikalta hai akela koi
'afrin' dard ka ehsas miTa hai aise
jaise bachpan mein banaya tha gharaunda koi
- Book : Kunj piile phuulo.n kaa (Pg. 158)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.