Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

duniya soche shauq se soche aaj aur kal ke bare mein

Prem Warbartani

duniya soche shauq se soche aaj aur kal ke bare mein

Prem Warbartani

duniyā soche shauq se soche aaj aur kal ke baare meñ

maiñ kyuuñ apnā chain gañvā.ūñ us pāgal ke baare meñ

sañg-e-marmar qabroñ meñ mahv-e-ḳhvāb the ham donoñ

kal shab dekhā ḳhvāb ajab tāj-mahal ke baare meñ

āḳhir us sūkhī lakḌī ek chitā ke kaam aa.ī

hare-bhare qisse sunte the jis pīpal ke baare meñ

mere shītal man jvālā ko to aur bhī bhaḌkāyā

log na jaane kyā kahte haiñ gañgā-jal ke baare meñ

aañsū ban kar TuuT gayā thā jo sapnoñ palkoñ se

saat yugoñ se soch rahā huuñ maiñ us pal ke baare meñ

chūmo ghūñghaT khol ke chūmo us dulhan ke hoñToñ ko

ye apnā dastūr hai mai har botal ke baare meñ

vo jo kuTiyā Daal rahā hai vīrāne meñ shahr se duur

saarā shahr pareshāñ kyuuñ hai us pāgal ke baare meñ

'prem' bharī mahfil meñ koī daad nahīñ fariyād nahīñ!

chup hai vo jān-e-ġhazal bhī merī ġhazal ke baare meñ

duniya soche shauq se soche aaj aur kal ke bare mein

main kyun apna chain ganwaun us pagal ke bare mein

sang-e-marmar ki qabron mein mahw-e-KHwab the hum donon

kal shab dekha KHwab ajab sa taj-mahal ke bare mein

aaKHir us ki sukhi lakDi ek chita ke kaam aai

hare-bhare qisse sunte the jis pipal ke bare mein

mere shital man ki jwala ko to aur bhi bhaDkaya

log na jaane kya kahte hain ganga-jal ke bare mein

aansu ban kar TuT gaya tha jo sapnon ki palkon se

sat yugon se soch raha hun main us pal ke bare mein

chumo ghunghaT khol ke chumo us dulhan ke honTon ko

ye apna dastur hai mai ki har botal ke bare mein

wo jo kuTiya Dal raha hai virane mein shahr se dur

sara shahr pareshan kyun hai us pagal ke bare mein

'prem' bhari mahfil mein koi dad nahin fariyaad nahin!

chup si hai wo jaan-e-ghazal bhi meri ghazal ke bare mein

Source :
  • Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 104)
  • Author : Prem Warbartani
  • Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
  • Edition : 1976
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now