Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr-o-visal ke nae manzar bhi aaenge

Quaiser Khalid

hijr-o-visal ke nae manzar bhi aaenge

Quaiser Khalid

MORE BYQuaiser Khalid

    hijr-o-visāl ke na.e manzar bhī ā.eñge

    ābādiyoñ meñ aa.e to phir ghar bhī ā.eñge

    āsāñ nahīñ hai utnī talāsh-e-jahān-e-nau

    DhūñDoge gar jazīre samundar bhī ā.eñge

    ai vaqt Dar hai tere ḳhudāoñ ko bas yahī

    be-nañg-o-nām haiñ jo barābar bhī ā.eñge

    duniyā isī naam hai har samt yahāñ

    ban kar yaqīñ gumān ke mehvar bhī ā.eñge

    ai chashm-e-iltifāt ye fōtpath ye saḌak

    haiñ muntazir ki in pe qalandar bhī ā.eñge

    maujoñ se laḌne dījiye kuchh der vaqt

    jin meñ hai hausla vo ubhar kar bhī ā.eñge

    haiñ naqsh-e-pā jahāñ jahāñ insāñ ke, dekhnā

    qadmoñ meñ aadmī ke vo ambar bhī ā.eñge

    māyūs yuuñ na bahr-e-adab ho, sabr kar

    tujh ko ubuur karne shanāvar bhī ā.eñge

    nākām rifāqateñ le kar kabhī yahāñ

    dasht-e-vafā sair ko dilbar bhī ā.eñge

    aajiz ho aql dekh ke sannā.ī jin vo

    husn-e-jahāñ ke nit-na.e paikar bhī ā.eñge

    tere liye jo vahm hai un ke liye yaqīñ

    aksar yahāñ gumān ke mehvar bhī ā.eñge

    badlā huā mizāj hai is baar vaqt

    lahroñ zad meñ ab ke shanāvar bhī ā.eñge

    bātoñ se phuul jhaḌte the lekin ḳhabar na thī

    ik din laboñ se un ke nashtar bhī ā.eñge

    Dhāoge tum jo mehvar-e-afkār ko to phir

    ye jaan lo ki ġhaib se lashkar bhī ā.eñge

    ham vo ḳhudā-tars haiñ faqīrī hai jin shaan

    yūñhī rahe to dar pe sikandar bhī ā.eñge

    kab 'ishq ruk sakā hai masā.ib se vaqt ke

    dīvāne ḳhāk-o-ḳhūñ meñ nahā kar bhī ā.eñge

    honī hai ḳhatm un bhī mohlat yaqīñ rakho

    ye vaqt ke ḳhudā tah-e-ḳhanjar bhī ā.eñge

    āfāq se pare hai mirā mehvar-e-ḳhayāl

    hai hausla to phir na.e shahpar bhī ā.eñge

    hijr-o-visal ke nae manzar bhi aaenge

    aabaadiyon mein aae to phir ghar bhi aaenge

    aasan nahin hai utni talash-e-jahan-e-nau

    DhunDoge gar jazire samundar bhi aaenge

    ai waqt Dar hai tere KHudaon ko bas yahi

    be-nang-o-nam hain jo barabar bhi aaenge

    duniya isi ka nam hai har samt hi yahan

    ban kar yaqin guman ke mehwar bhi aaenge

    ai chashm-e-iltifat ye footpath ye saDak

    hain muntazir ki in pe qalandar bhi aaenge

    maujon se laDne dijiye kuchh der waqt ki

    jin mein hai hausla wo ubhar kar bhi aaenge

    hain naqsh-e-pa jahan jahan insan ke, dekhna

    qadmon mein aadmi ke wo ambar bhi aaenge

    mayus yun na bahr-e-adab ho, tu sabr kar

    tujh ko ubur karne shanawar bhi aaenge

    nakaam si rifaqaten le kar kabhi yahan

    dasht-e-wafa ki sair ko dilbar bhi aaenge

    aajiz ho aql dekh ke sannai jin ki wo

    husn-e-jahan ke nit-nae paikar bhi aaenge

    tere liye jo wahm hai un ke liye yaqin

    aksar yahan guman ke mehwar bhi aaenge

    badla hua mizaj hai is bar waqt ka

    lahron ki zad mein ab ke shanawar bhi aaenge

    baaton se phul jhaDte the lekin KHabar na thi

    ek din labon se un ke hi nashtar bhi aaenge

    Dhaoge tum jo mehwar-e-afkar ko to phir

    ye jaan lo ki ghaib se lashkar bhi aaenge

    hum wo KHuda-tars hain faqiri hai jin ki shan

    yunhi rahe to dar pe sikandar bhi aaenge

    kab 'ishq ruk saka hai masaib se waqt ke

    diwane KHak-o-KHun mein naha kar bhi aaenge

    honi hai KHatm un ki bhi mohlat yaqin rakho

    ye waqt ke KHuda tah-e-KHanjar bhi aaenge

    aafaq se pare hai mera mehwar-e-KHayal

    hai hausla to phir nae shahpar bhi aaenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now