ek pari ke sath maujon par Tahalta raat ko
ik parī ke saath maujoñ par Tahaltā raat ko
ab bhī ye qudrat kahāñ hai aadmī kī zaat ko
jin kā saarā jism hotā hai hamārī hī tarah
phuul kuchh aise bhī khilte haiñ hamesha raat ko
ek ik kar ke sabhī kapḌe badan se gir chuke
sub.h phir ham ye kafan pahnā.eñge jazbāt ko
pīchhe pīchhe raat thī tāroñ kā ik lashkar liye
rail kī paTrī pe sūraj chal rahā thā raat ko
aab o ḳhaak o baad meñ bhī lahar vo aa jaa.e hai
surḳh kar detī hai dam bhar meñ jo piilī dhaat ko
sub.h bistar band hai jis meñ lipaT jaate haiñ ham
ik safar ke ba.ad phir khulte haiñ aadhī raat ko
sar pe sūraj ke hamāre pyaar kā saaya rahe
māmtā kā jism māñge zindagī kī baat ko
ek pari ke sath maujon par Tahalta raat ko
ab bhi ye qudrat kahan hai aadmi ki zat ko
jin ka sara jism hota hai hamari hi tarah
phul kuchh aise bhi khilte hain hamesha raat ko
ek ek kar ke sabhi kapDe badan se gir chuke
subh phir hum ye kafan pahnaenge jazbaat ko
pichhe pichhe raat thi taron ka ek lashkar liye
rail ki paTri pe suraj chal raha tha raat ko
aab o KHak o baad mein bhi lahar wo aa jae hai
surKH kar deti hai dam bhar mein jo pili dhat ko
subh bistar band hai jis mein lipaT jate hain hum
ek safar ke baad phir khulte hain aadhi raat ko
sar pe suraj ke hamare pyar ka saya rahe
mamta ka jism mange zindagi ki baat ko
- Book : Ikayee (Pg. 86)
- Author : Bashir Badar
- Publication : M.R. Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.