jhagaDna kahe ka mere bhai paDi rahegi
jhagaḌnā kaahe kā mere bhaa.ī paḌī rahegī
ye baap daadā kī sab kamā.ī paḌī rahegī
añdhere kamre meñ raqs kartī rahegī vahshat
aur ek kone meñ pārsā.ī paḌī rahegī
havā kī minnat karo ki ghar ke diye bujhe to
udaas ho kar diyā salā.ī paḌī rahegī
hamārī nazroñ se aur ojhal agar hue tum
zamāne bhar kī ye raushnā.ī paḌī rahegī
tumhāre jaane ke baa'd kaisī mahalle-dārī
yaqīn kar lo banī banā.ī paḌī rahegī
tumhāre hāthoñ kā lams kaafī hai lauT aao
maiñ Thiik ho jā.ūñgī davā.ī paḌī rahegī
buzurg ruḳhsat hue haiñ lekin barāmde meñ
purāne vaqtoñ kī chārpā.ī paḌī rahegī
jhagaDna kahe ka mere bhai paDi rahegi
ye bap dada ki sab kamai paDi rahegi
andhere kamre mein raqs karti rahegi wahshat
aur ek kone mein parsai paDi rahegi
hawa ki minnat karo ki ghar ke diye bujhe to
udas ho kar diya salai paDi rahegi
hamari nazron se aur ojhal agar hue tum
zamane bhar ki ye raushnai paDi rahegi
tumhaare jaane ke ba'd kaisi mahalle-dari
yaqin kar lo bani banai paDi rahegi
tumhaare hathon ka lams kafi hai lauT aao
main Thik ho jaungi dawai paDi rahegi
buzurg ruKHsat hue hain lekin baramde mein
purane waqton ki chaarpai paDi rahegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.