Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

meri aankhon se hijrat ka wo manzar kyun nahin jata

Prabudha Saurabh

meri aankhon se hijrat ka wo manzar kyun nahin jata

Prabudha Saurabh

mirī āñkhoñ se hijrat vo manzar kyuuñ nahīñ jaatā

bichhaḌ kar bhī bichhaḌ jaane ye Dar kyuuñ nahīñ jaatā

agar ye zaḳhm bharnā hai to phir bhar kyuuñ nahīñ jaatā

agar ye jān-levā hai to maiñ mar kyuuñ nahīñ jaatā

agar dost hai to phir ye ḳhanjar kyuuñ hai hāthoñ meñ

agar dushman hai to āḳhir mirā sar kyuuñ nahīñ jaatā

batā.ūñ kis havāle se unheñ bairāg matlab

jo taare pūchhte haiñ raat ko ghar kyuuñ nahīñ jaatā

zarā fursat mile qismat chausar se to sochūñgā

ki ḳhvāhish aur hāsil ye antar kyuuñ nahīñ jaatā

mire saare raqīboñ ne zamīneñ chhoḌ diiñ kab

magar ash.ār se mere vo tevar kyuuñ nahīñ jaatā

mujhe bechain karte haiñ ye dil ke an-ginat dhabbe

jo jaatā hai vo yādoñ ko miTā kar kyuuñ nahīñ jaatā

meri aankhon se hijrat ka wo manzar kyun nahin jata

bichhaD kar bhi bichhaD jaane ka ye Dar kyun nahin jata

agar ye zaKHm bharna hai to phir bhar kyun nahin jata

agar ye jaan-lewa hai to main mar kyun nahin jata

agar tu dost hai to phir ye KHanjar kyun hai hathon mein

agar dushman hai to aaKHir mera sar kyun nahin jata

bataun kis hawale se unhen bairag ka matlab

jo tare puchhte hain raat ko ghar kyun nahin jata

zara fursat mile qismat ki chausar se to sochunga

ki KHwahish aur hasil ka ye antar kyun nahin jata

mere sare raqibon ne zaminen chhoD din kab ki

magar ashaar se mere wo tewar kyun nahin jata

mujhe bechain karte hain ye dil ke an-ginat dhabbe

jo jata hai wo yaadon ko miTa kar kyun nahin jata

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now