nazar nazar ko saqi-e-hayat kahte aae hain
nazar nazar ko sāqī-e-hayāt kahte aa.e haiñ
un añkhḌiyoñ ko mai-kade kī raat kahte aa.e haiñ
ba-chāshnī-e-ahd-e-nau jo baat kahte aa.e haiñ
ġham-e-jahāñ ko dil kī kā.enāt kahte aa.e haiñ
fareb-e-shauq ko taḳhayyulāt kahte aa.e haiñ
bikhar ga.e to gesuoñ ko raat kahte aa.e haiñ
usī ko zindagī kā saaz de ke mutma.in huuñ maiñ
vo husn jis ko husn-e-be-sabāt kahte aa.e haiñ
ye muḳhlisān-e-ishq bhī 'ajab adā-parast haiñ
vo muskurā diye to iltifāt kahte aa.e haiñ
hayāt tā-mamāt ek silsila hai 'ishq kā
kahāñ haiñ vo jo marg ko najāt kahte aa.e haiñ
na zāhidoñ ke va.az-e-tark-e-ishq par hañse koī
ye be-ḳhabar bhī hausle kī baat kahte aa.e haiñ
ye zarf-e-bāda kyā hai bāda-āshnā se pūchhiye
ham is ko shīsha-e-tajalliyāt kahte aa.e haiñ
ġhazal hai naam husn ke muāmalāt-e-ḳhām kā
ḳhatā huī ki dilbaroñ kī baat kahte aa.e haiñ
sukūn o ḳhvāb zindagī kī raah meñ kahāñ 'nushūr'
hayāt ko musāfirat kī raat kahte aa.e haiñ
nazar nazar ko saqi-e-hayat kahte aae hain
un ankhDiyon ko mai-kade ki raat kahte aae hain
ba-chashni-e-ahd-e-nau jo baat kahte aae hain
gham-e-jahan ko dil ki kaenat kahte aae hain
fareb-e-shauq ko taKHayyulat kahte aae hain
bikhar gae to gesuon ko raat kahte aae hain
usi ko zindagi ka saz de ke mutmain hun main
wo husn jis ko husn-e-be-sabaat kahte aae hain
ye muKHlisan-e-ishq bhi 'ajab ada-parast hain
wo muskura diye to iltifat kahte aae hain
hayat ta-mamat ek silsila hai 'ishq ka
kahan hain wo jo marg ko najat kahte aae hain
na zahidon ke waz-e-tark-e-ishq par hanse koi
ye be-KHabar bhi hausle ki baat kahte aae hain
ye zarf-e-baada kya hai baada-ashna se puchhiye
hum is ko shisha-e-tajalliyat kahte aae hain
ghazal hai nam husn ke muamalat-e-KHam ka
KHata hui ki dilbaron ki baat kahte aae hain
sukun o KHwab zindagi ki rah mein kahan 'nushur'
hayat ko musafirat ki raat kahte aae hain
- Book : Sawad-e-manzil (Pg. 217)
- Author : Nushoor Wahedi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd, Delhi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.