Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saqiya tu ne mere zarf ko samjha kya hai

Fana Nizami Kanpuri

saqiya tu ne mere zarf ko samjha kya hai

Fana Nizami Kanpuri

MORE BYFana Nizami Kanpuri

    sāqiyā ne mire zarf ko samjhā kyā hai

    zahr lūñgā tire haath se sahbā kyā hai

    maiñ chalā aayā tirā husn-e-taġhāful le kar

    ab tirī anjuman-e-nāz meñ rakkhā kyā hai

    na bagūle haiñ na kāñTe haiñ na dīvāne haiñ

    ab to sahrā faqat naam hai sahrā kyā hai

    ho ke māyūs-e-vafā tark-e-vafā to kar luuñ

    lekin is tark-e-vafā bhī bharosā kyā hai

    koī pāband-e-mohabbat batā saktā hai

    ek dīvāne zanjīr se rishta kyā hai

    sāqiyā kal ke liye maiñ to na rakkhūñgā sharāb

    tere hote hue andesha-e-fardā kyā hai

    merī tasvīr-e-ġhazal hai koī ā.īna nahīñ

    saikḌoñ ruḳh haiñ abhī aap ne dekhā kyā hai

    sāf-goī meñ to sunte haiñ 'fanā' hai mash.hūr

    dekhnā ye hai tire muñh pe vo kahtā kyā hai

    saqiya tu ne mere zarf ko samjha kya hai

    zahr pi lunga tere hath se sahba kya hai

    main chala aaya tera husn-e-taghaful le kar

    ab teri anjuman-e-naz mein rakkha kya hai

    na bagule hain na kanTe hain na diwane hain

    ab to sahra ka faqat nam hai sahra kya hai

    ho ke mayus-e-wafa tark-e-wafa to kar lun

    lekin is tark-e-wafa ka bhi bharosa kya hai

    koi paband-e-mohabbat hi bata sakta hai

    ek diwane ka zanjir se rishta kya hai

    saqiya kal ke liye main to na rakkhunga sharab

    tere hote hue andesha-e-farda kya hai

    meri taswir-e-ghazal hai koi aaina nahin

    saikDon ruKH hain abhi aap ne dekha kya hai

    saf-goi mein to sunte hain 'fana' hai mashhur

    dekhna ye hai tere munh pe wo kahta kya hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Fana Nizami Kanpuri

    Fana Nizami Kanpuri

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    saqiya tu ne mere zarf ko samjha kya hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now