us dil ki musibat kaun sune jo gham ke muqabil aa jae
us dil kī musībat kaun sune jo ġham ke muqābil aa jaa.e
kis ne ye kahā thā tinke se vo bijlī se Takrā jaa.e
duniyā kī bahāroñ se āñkheñ yuuñ pher liiñ jaane vāloñ ne
jaise koī lambe qisse ko paḌhte paḌhte uktā jaa.e
āġhāz-e-mohabbat hai aur dil yuuñ haath se niklā jaatā hai
jaise kisī alhaḌ kā āñchal sarkā jaa.e Dhalkā jaa.e
guzre hue dilkash lamhoñ kī bhūlī huī yaad aisī aa.ī
jaise koī pītam pardesī sote meñ achānak aa jaa.e
jab pahle-pahal ehsās huā hai ġham kā to dil aisā kāñpā
jaise ki dulhan pahlī shab kī aahaT jo mile tharrā jaa.e
kan.ghe se ghanerī zulfoñ meñ yuuñ lahreñ uThtī jaatī haiñ
jaise ki dhuñdlakā sāvan kā baḌhtā jaa.e baḌhtā jaa.e
hastī kā nazāra kyā kahiye martā hai koī jiitā hai koī
jaise ki divālī ho ki diyā jaltā jaa.e bujhtā jaa.e
ik aas jo dil kī TuuT ga.ī phir dil kī ḳhushī baaqī na rahī
jaise ki añdhere ghar kā diyā gul ho to añdherā chhā jaa.e
dil hai ki 'nushūr' ik baajā hai siine ke andar tāroñ kā
jab choT paḌe jhankār uThe jab Thes lage tharrā jaa.e
us dil ki musibat kaun sune jo gham ke muqabil aa jae
kis ne ye kaha tha tinke se wo bijli se Takra jae
duniya ki bahaaron se aankhen yun pher lin jaane walon ne
jaise koi lambe qisse ko paDhte paDhte ukta jae
aaghaz-e-mohabbat hai aur dil yun hath se nikla jata hai
jaise kisi alhaD ka aanchal sarka jae Dhalka jae
guzre hue dilkash lamhon ki bhuli hui yaad aisi aai
jaise koi pitam pardesi sote mein achanak aa jae
jab pahle-pahal ehsas hua hai gham ka to dil aisa kanpa
jaise ki dulhan pahli shab ki aahaT jo mile tharra jae
kanghe se ghaneri zulfon mein yun lahren uThti jati hain
jaise ki dhundlaka sawan ka baDhta jae baDhta jae
hasti ka nazara kya kahiye marta hai koi jita hai koi
jaise ki diwali ho ki diya jalta jae bujhta jae
ek aas jo dil ki TuT gai phir dil ki KHushi baqi na rahi
jaise ki andhere ghar ka diya gul ho to andhera chha jae
dil hai ki 'nushur' ek baja hai sine ke andar taron ka
jab choT paDe jhankar uThe jab Thes lage tharra jae
- Book : Sawad-e-manzil (Pg. 123)
- Author : Nushoor Wahedi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd, Delhi (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.