Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aainon mein aks na hon to hairat rahti hai

Amjad Islam Amjad

aainon mein aks na hon to hairat rahti hai

Amjad Islam Amjad

ā.īnoñ meñ aks na hoñ to hairat rahtī hai

jaise ḳhālī āñkhoñ meñ bhī vahshat rahtī hai

har dam duniyā ke hañgāme ghere rakhte the

jab se tere dhyān lage haiñ fursat rahtī hai

karnī hai to khul ke karo inkār-e-vafā baat

baat adhūrī rah jaa.e to hasrat rahtī hai

shahr-e-suḳhan meñ aisā kuchh kar izzat ban jaa.e

sab kuchh miTTī ho jaatā hai izzat rahtī hai

bante bante Dhah jaatī hai dil har tāmīr

ḳhvāhish ke bahrūp meñ shāyad qismat rahtī hai

saa.e larazte rahte haiñ shahroñ galiyoñ meñ

rahte the insān jahāñ ab dahshat rahtī hai

mausam koī ḳhushbū le kar aate jaate haiñ

kyā kyā ham ko raat ga.e tak vahshat rahtī hai

dhyān meñ mela lagtā hai biitī yādoñ

aksar us ke ġham se dil sohbat rahtī hai

phūloñ taḳhtī par jaise rañgoñ tahrīr

lauh-e-suḳhan par aise 'amjad' shohrat rahtī hai

aainon mein aks na hon to hairat rahti hai

jaise KHali aankhon mein bhi wahshat rahti hai

har dam duniya ke hangame ghere rakhte the

jab se tere dhyan lage hain fursat rahti hai

karni hai to khul ke karo inkar-e-wafa ki baat

baat adhuri rah jae to hasrat rahti hai

shahr-e-suKHan mein aisa kuchh kar izzat ban jae

sab kuchh miTTi ho jata hai izzat rahti hai

bante bante Dhah jati hai dil ki har tamir

KHwahish ke bahrup mein shayad qismat rahti hai

sae larazte rahte hain shahron ki galiyon mein

rahte the insan jahan ab dahshat rahti hai

mausam koi KHushbu le kar aate jate hain

kya kya hum ko raat gae tak wahshat rahti hai

dhyan mein mela sa lagta hai biti yaadon ka

aksar us ke gham se dil ki sohbat rahti hai

phulon ki taKHti par jaise rangon ki tahrir

lauh-e-suKHan par aise 'amjad' shohrat rahti hai

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

aainon mein aks na hon to hairat rahti hai Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now