Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj ki raat bhi guzri hai meri kal ki tarah

Ameer Qazalbash

aaj ki raat bhi guzri hai meri kal ki tarah

Ameer Qazalbash

aaj raat bhī guzrī hai mirī kal tarah

haath aa.e na sitāre tire āñchal tarah

hādsa koī to guzrā hai yaqīnan yaaro

ek sannāTā hai mujh meñ kisī maqtal tarah

phir na niklā koī ghar se ki havā phirtī thī

sañg hāthoñ meñ uThā.e kisī pāgal tarah

ki dariyā hai magar merī tarah pyāsā hai

maiñ tere paas chalā ā.ūñgā bādal tarah

raat jaltī huī ik aisī chitā hai jis par

terī yādeñ haiñ sulagte hue sandal tarah

maiñ huuñ ik ḳhvāb magar jāgtī āñkhoñ 'amīr'

aaj bhī log gañvā deñ na mujhe kal tarah

aaj ki raat bhi guzri hai meri kal ki tarah

hath aae na sitare tere aanchal ki tarah

hadsa koi to guzra hai yaqinan yaro

ek sannaTa hai mujh mein kisi maqtal ki tarah

phir na nikla koi ghar se ki hawa phirti thi

sang hathon mein uThae kisi pagal ki tarah

tu ki dariya hai magar meri tarah pyasa hai

main tere pas chala aaunga baadal ki tarah

raat jalti hui ek aisi chita hai jis par

teri yaaden hain sulagte hue sandal ki tarah

main hun ek KHwab magar jagti aankhon ka 'amir'

aaj bhi log ganwa den na mujhe kal ki tarah

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now