aalam-e-wajd mein hoti hai dua raat ke waqt
'ālam-e-vajd meñ hotī hai du'ā raat ke vaqt
maañg suntā hai faqīroñ kī ḳhudā raat ke vaqt
sham' kī lau se thiraktī huī kirneñ niklīñ
ek saaya mirā ham-raqs huā raat ke vaqt
hai ye ummīd mire ḳhvāb meñ aap ā.eñge
ek dar aañkh kā rakhtā huuñ khulā raat ke vaqt
din guzartā hai gulāboñ kī kifālat karte
chūmtī hai mire hāthoñ ko sabā raat ke vaqt
aañkh kholī to bikhar jā.eñge ḳhvāboñ ke varaq
tez chaltī hai jazīroñ meñ havā raat ke vaqt
tīrgī meñ to ziyāda nazar aatā hai mujhe
mujh pe har nuur kā e'jāz khulā raat ke vaqt
oḌh letā hai badan ruuh kī chādar 'āsim'
aur hotī hai mire tan pe qabā raat ke vaqt
'alam-e-wajd mein hoti hai du'a raat ke waqt
mang sunta hai faqiron ki KHuda raat ke waqt
sham' ki lau se thirakti hui kirnen niklin
ek saya mera ham-raqs hua raat ke waqt
hai ye ummid mere KHwab mein aap aaenge
ek dar aankh ka rakhta hun khula raat ke waqt
din guzarta hai gulabon ki kifalat karte
chumti hai mere hathon ko saba raat ke waqt
aankh kholi to bikhar jaenge KHwabon ke waraq
tez chalti hai jaziron mein hawa raat ke waqt
tirgi mein to ziyaada nazar aata hai mujhe
mujh pe har nur ka e'jaz khula raat ke waqt
oDh leta hai badan ruh ki chadar 'asim'
aur hoti hai mere tan pe qaba raat ke waqt
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 24)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.