ab dil ki ye shakl ho gai hai
ab dil kī ye shakl ho ga.ī hai
jaise koī chiiz kho ga.ī hai
pahle bhī ḳharāb thī ye duniyā
ab aur ḳharāb ho ga.ī hai
is bahar meñ kitnī kashtiyoñ ko
sāhil kī havā Dubo ga.ī hai
gul jin kī hañsī uḌā chuke the!
shabnam bhī unhīñ ko ro ga.ī hai
kal se vo udaas udaas haiñ kuchh
shāyad koī baat ho ga.ī hai
shādāb hai jis se kisht-e-hastī
vo biij bhī maut bo ga.ī hai
ab dil ki ye shakl ho gai hai
jaise koi chiz kho gai hai
pahle bhi KHarab thi ye duniya
ab aur KHarab ho gai hai
is bahar mein kitni kashtiyon ko
sahil ki hawa Dubo gai hai
gul jin ki hansi uDa chuke the!
shabnam bhi unhin ko ro gai hai
kal se wo udas udas hain kuchh
shayad koi baat ho gai hai
shadab hai jis se kisht-e-hasti
wo bij bhi maut bo gai hai
- Book : Hikayat-e-nai (Pg. 68)
- Author : Rais Amrohvi
- Publication : Rais Acadami, Garden Est. Krachi-3 (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.