ab TuTne hi wala hai tanhai ka hisar
ab TūTne hī vaalā hai tanhā.ī kā hisār
ik shaḳhs chīḳhtā hai samundar ke ār-pār
āñkhoñ se raah niklī hai tahtush-shu.ūr tak
rag rag meñ reñgtā hai sulagtā huā ḳhumār
girte rahe nujūm añdhere kī zulf se
shab bhar rahīñ ḳhamoshiyāñ sāyoñ se ham-kanār
dīvār-o-dar pe ḳhushbū ke haale bikhar ga.e
tanhā.ī ke farishtoñ ne chūmī qabā-e-yār
kab tak paḌe rahoge havāoñ ke haath meñ
kab tak chalegā khokhle shabdoñ kā kārobār
ab TuTne hi wala hai tanhai ka hisar
ek shaKHs chiKHta hai samundar ke aar-par
aankhon se rah nikli hai tahtush-shuur tak
rag rag mein rengta hai sulagta hua KHumar
girte rahe nujum andhere ki zulf se
shab bhar rahin KHamoshiyan sayon se ham-kanar
diwar-o-dar pe KHushbu ke haale bikhar gae
tanhai ke farishton ne chumi qaba-e-yar
kab tak paDe rahoge hawaon ke hath mein
kab tak chalega khokhle shabdon ka karobar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.