chahat meri miTTi mein ajab chhoD gaya hai
chāhat mirī miTTī meñ ajab chhoḌ gayā hai
dil jal ke bhī ḳhāshāk-talab chhoḌ gayā hai
jab chhoḌ gayā thā to kahāñ chhoḌ gayā thā
lauTā hai to lagtā hai ki ab chhoḌ gayā hai
maiñ terā pujārī thā magar ai mire ḳhurshīd
tū Dhal ke mire shahr meñ shab chhoḌ gayā hai
pahuñchā hai masīhā.ī ko is rah se guzar kar
is rah ko magar jān-ba-lab chhoḌ gayā hai
ham lazzat-e-āshob ke rasiyā tire ġham-dār
tū siine meñ jiine kā sabab chhoḌ gayā hai
ġham us kī judā.ī kā tujhe maar na Daale
ab tū bhī use chhoḌ vo jab chhoḌ gayā hai
dānista yahīñ chhoḌ gayā hai vo mirā dil
jo us kā thā asbāb vo sab chhoḌ gayā hai
kuchh din se mire dil meñ ibādat kī talab hai
kuchh din se mujhe lagtā hai rab chhoḌ gayā hai
ik phal ke ravādār na the ḳhuld-e-barīñ meñ
dil terī bahishtoñ kī talab chhoḌ gayā hai
chahat meri miTTi mein ajab chhoD gaya hai
dil jal ke bhi KHashak-talab chhoD gaya hai
jab chhoD gaya tha to kahan chhoD gaya tha
lauTa hai to lagta hai ki ab chhoD gaya hai
main tera pujari tha magar ai mere KHurshid
tu Dhal ke mere shahr mein shab chhoD gaya hai
pahuncha hai masihai ko is rah se guzar kar
is rah ko magar jaan-ba-lab chhoD gaya hai
hum lazzat-e-ashob ke rasiya tere gham-dar
tu sine mein jine ka sabab chhoD gaya hai
gham us ki judai ka tujhe mar na Dale
ab tu bhi use chhoD wo jab chhoD gaya hai
danista yahin chhoD gaya hai wo mera dil
jo us ka tha asbab wo sab chhoD gaya hai
kuchh din se mere dil mein ibaadat ki talab hai
kuchh din se mujhe lagta hai rab chhoD gaya hai
ek phal ke rawadar na the KHuld-e-barin mein
dil teri bahishton ki talab chhoD gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.