Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaaron taraf se maut ne ghera hai zist ko

Adil Mansuri

chaaron taraf se maut ne ghera hai zist ko

Adil Mansuri

chāroñ taraf se maut ne gherā hai ziist ko

aur us ke saath hukm ki ab zindagī karo

bāhar galī meñ shor hai barsāt suno

kunDī lagā ke aaj to ghar meñ paḌe raho

chhoḌ aa.e kis chhat pe javāñ-sāl chāñd ko

ḳhāmosh kis liye ho sitāro javāb do

kyuuñ chalte chalte ruk ga.e vīrān rāsto

tanhā huuñ aaj maiñ zarā ghar tak to saath do

jis ne bhī muḌ ke dekhā vo patthar ho gayā

nazreñ jhukā.e dosto chup chup chale chalo

allāh rakkhe terī sahar jaisī kam-sinī

dil kāñptā hai jab bhī aatī hai shaam ko

vīrāñ chaman pe roī hai shabnam tamām raat

aise meñ koī nannhī kalī muskurā.e to

'ādil' havā.eñ kab se bhī detī haiñ dastakeñ

jaldī se uTh ke kamre darvāza khol do

chaaron taraf se maut ne ghera hai zist ko

aur us ke sath hukm ki ab zindagi karo

bahar gali mein shor hai barsat ka suno

kunDi laga ke aaj to ghar mein paDe raho

chhoD aae kis ki chhat pe jawan-sal chand ko

KHamosh kis liye ho sitaro jawab do

kyun chalte chalte ruk gae viran rasto

tanha hun aaj main zara ghar tak to sath do

jis ne bhi muD ke dekha wo patthar ka ho gaya

nazren jhukae dosto chup chup chale chalo

allah rakkhe teri sahar jaisi kam-sini

dil kanpta hai jab bhi tu aati hai sham ko

viran chaman pe roi hai shabnam tamam raat

aise mein koi nannhi kali muskurae to

'adil' hawaen kab se bhi deti hain dastaken

jaldi se uTh ke kamre ka darwaza khol do

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

chaaron taraf se maut ne ghera hai zist ko Nomaan Shauque

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now