Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhne usko koi mere siwa kyun aae

Shahzad Ahmad

dekhne usko koi mere siwa kyun aae

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    dekhne us ko koī mere sivā kyuuñ aa.e

    mere hamrāh ye naqsh-e-kaf-e-pā kyuuñ aa.e

    kal thī ye fikr use haal sunā.eñ kaise

    aaj ye sochte haiñ us ko sunā kyuuñ aa.e

    kam nahīñ hai ye aziyyat ki abhī zinda huuñ

    ab mire sar pe koī aur balā kyuuñ aa.e

    maiñ bulandī pe agar jā.ūñ to kaise jā.ūñ

    āsmānoñ se zamīnoñ pe ḳhudā kyuuñ aa.e

    adl-o-insāf taqāzā-e-mashiyyat sahī

    zindagī meñ magar roz-e-jazā kyuuñ aa.e

    dauḌte ḳhuun ik lahar bahut kaafī hai

    shafaq-e-shām ko itnī bhī hayā kyuuñ aa.e

    qaidiyoñ ke liye behtar hai ki ghuT kar mar jaa.eñ

    raushnī jab nahīñ aatī to havā kyuuñ aa.e

    log ḳhāmoshī karte haiñ taqāzā ya.anī

    saañs lene bhī 'shahzād' sadā kyuuñ aa.e

    dekhne us ko koi mere siwa kyun aae

    mere hamrah ye naqsh-e-kaf-e-pa kyun aae

    kal thi ye fikr use haal sunaen kaise

    aaj ye sochte hain us ko suna kyun aae

    kam nahin hai ye aziyyat ki abhi zinda hun

    ab mere sar pe koi aur bala kyun aae

    main bulandi pe agar jaun to kaise jaun

    aasmanon se zaminon pe KHuda kyun aae

    adl-o-insaf taqaza-e-mashiyyat hi sahi

    zindagi hi mein magar roz-e-jaza kyun aae

    dauDte KHun ki ek lahar bahut kafi hai

    shafaq-e-sham ko itni bhi haya kyun aae

    qaidiyon ke liye behtar hai ki ghuT kar mar jaen

    raushni jab nahin aati to hawa kyun aae

    log KHamoshi ka karte hain taqaza yani

    sans lene ki bhi 'shahzad' sada kyun aae

    Source :
    • Book : Deewar pe dastak (Pg. 417)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now